Thursday, January 28, 2010

The Internet Chronicles from Mera Gaon, Mera Des: Adaption to Social Networking in Rural India and its Repercussions on Linguistics

Rupa: Aaj kono Gowri Sankar hamaar ko friend rikwest bheje hain.
Champa: Kaun Gawri Sankar? Arre uuh Nirmal kaki ka door-daraaj ka bhanja, jinki boxers mein hum mendhak chhode the, Bholu ke lagan mein?
Rupa: Hat gadharia! Uuh to Badri Sankar-wa rehat, jo ki Teevri nadi ke Teer mein basat rahi. Ee koi Sa-weedun gaon ka dude hai.
Champa: Suh-weedun? Bahar-gaon? Holi Cow!
Rupa: Hum yeh sochat rahi, ki uu ko hamaar pi-rofile milat to kaise milat rahi? Kono common friend hi naahi hai!
Champa:: Hmmm..tanik itna batao, dekhan mein kaisat hai?
Rupa: Kermit mendhak-wa ka chachera bhai ya Peter Griffin-wa ke mausi ka ladka - oh kaisan kehat? haan - F-ugly!
Giggles!
Champa: Peter Griffin to phir bhi theek-thak rahi Par uska kutta, jab uski lugai ko taktaki bandh kar dekhat rahi, Shiv Shiv Shiv Shiv! Oo chhod, hamari maan to rejekt kar de. Hamaar bhauji kehti hai ki bahar-gaon jaane ke baad mard log ekdum jerks ho jaat rahi.
Rupa: Hai Raam! Hamaar bhains-wa, Mary Jane, tumse behtar samajh rahi ee duniya ko. Eeh sab f**k-tard-wa log hi kehat hai. Internet-wa par kono samay bitao to tumhaar khopadiya mein bhi kuch padega!
Champa: Chill-pill khaat lo! Tumhaar ghar ma Wii hot, is kaaran Tinku, Billu, aur Radha tumka paresaan nahi karat. Humaar yahaa Dhondu aur Kamla ko World of War Ka-raft se hatao to Daddu computer nahi chhodat. Aur amma boli ki jab Daddu hot Nepali chhori ka search karat rahi aur hum pass ma dikhai diyat to uuh hamaar asses whoop karat rahi!

No comments:

Post a Comment